Lyrics has been copied to clipboard!
Barsaat Ki Dhun Lyrics – Jubin Nautiyal - Kumar Sanu
Singer | Kumar Sanu |
Singer | Anu Malik |
Music | Sir (1993) |
Song Writer | Qateel Shifai |
“Aao ek bheegi hui si
Kahani sunata hoon
Jab aasman se boondein nahi
Mohabbat barsi thi
Barsaat ne aisi dhun chhedi
Jiske liye zindagi sadiyon tarsi thi”
Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain Boondein tumpe
Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain boondein tumpe
Nazaara uff kya hota hai
Guzarti hain jab zulfon se
Door kahin ab jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Dil mein yahi ek gham rehta hai
Saath mere tu kam rehta hai
Haan dil mein yahi ek gam rehta hai
Sath mere tu kam rehta hai
Chhod ke abhi jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Haaan dheere dheere haule haule
Bheega dengi yeh barsaatein
Ho dheere dheere haule haule
Bheega dengi yeh barsaatein
Jaane kahan phir milengi humein
Aisi mulakaatein
Sambhalun kaise main dil ko
Deewana chahe bas tum ko
Khwaishon mein hi jal raha hoon
Main yahan
Woh pehli si baarish banke
Baras jao na tum humpe
Hawa ka rukh badal jaye
Mohabbat karna tum aise
Khwaab mera yeh todo na tum
Ho..ho..
Jismon pe barasti baarish
Ne rooh bigaadi hai
Is mausam ki sajish ne
Ye neend uda di hai
Waise toh dubane ko bas
Ek boond hi kaafi hai
Socho toh zara kya hoga
Abhi raat yeh baaki hai
Saath mere beh jao na tum
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum
Bijli chamki lipat gaye hum
Baadal garja simat gaye hum
Hosh bhi ho jaane do gumm
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun
Sun sun sun barsaat ki dhun sun